Urdu hai mera naam main khusro ki paheli
Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli
Dhakkan ke wali ne mujhe godhi me khilaya
Sauda ke qaseedo ne mera husn badhaya
Hai meer ki azmat ke mujhe chalna seekhaya
Main daag ke aagan me khili ban ke chameli
Urdu hai mera naam main khusro ki paheli
Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli
Ghalib ne bulandi ka safar mujhko seekhaya
Hali ne muravvat ka sabak yaad dilaya
Iqbaal ne aaina_e_haq mujhko dikhaya
Momeen ne sajayee mere khwabo ki haveli
Urdu hai mera naam main khusro ki paheli
Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli
Hai zauk ki azmat ke diye mujhko sahare
Chakbast ki ulfat ne mere khwab saware
Fani ne sajaye meri palko pe sitare
Akbar ne rachayee meri berang hatheli
Urdu hai mera naam main khusro ki paheli
Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli
Q mujhko banate ho tassub ka nishana
Maine to kabhi khud ko musalmaa.N nahi mana
Dekha tha kabhi maine bhi khushiyo ka zamana
Apne hi watan me hu magar aaj akayli
Urdu hai mera naam main khusro ki paheli
Main meer ki humraaz hu ghalib ki saheli
-IQBAL ASHAR-
No comments:
Post a Comment